Mujhe Ho Na Phir Nadamat Kahin Arz-e-haal Kar Ke

mujhe ho na phir nadamat kahin arz-e-haal kar ke

main KHamosh rah gaya hun yahi ehtimal kar ke

na rahe koi bhi shikwa mujhe phir tere karam ka

jo ata mujhe ho saqi to ho ye KHayal kar ke

mujhe aap ne jo dekha tha wo ittifaq lekin

mere doston ne chheDa mujhe kya KHayal kar ke

meri aarzu ko Tala mujhe uljhanon mein Dala

kabhi kuchh sawal kar ke kabhi kuchh sawal kar ke

koi gham agar nahin hai to wo kya sabab hai jis ne

ai 'amir' rakh diya hai tujhe KHasta-haal kar ke

(555) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Ho Na Phir Nadamat Kahin Arz-e-haal Kar Ke In English By Famous Poet Mohammad Amir Azam Quraishi. Mujhe Ho Na Phir Nadamat Kahin Arz-e-haal Kar Ke is written by Mohammad Amir Azam Quraishi. Read famous Poem Mujhe Ho Na Phir Nadamat Kahin Arz-e-haal Kar Ke for youth and Student by Mohammad Amir Azam Quraishi. Free Download Mujhe Ho Na Phir Nadamat Kahin Arz-e-haal Kar Ke in PDF.