Mile Mujhko Gham Se Fursat To Sunaun Wo Fasana

mile mujh ko gham se fursat to sunaun wo fasana

ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabana

yahi zindagi musibat yahi zindagi musarrat

yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana

kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-mudawa

kabhi bijliyon ki KHwahish kabhi fikr-e-ashiyana

mere qahqahon ki zad par kabhi gardishen jahan ki

mere aansuon ki rau mein kabhi talKHi-e-zamana

meri rifaton se larzan kabhi mehr-o-mah o anjum

meri pastiyon se KHaif kabhi auj-e-KHusrawana

kabhi main hun tujh se nalan kabhi mujh se tu pareshan

kabhi main tera hadaf hun kabhi tu mera nishana

jise pa saka na zahid jise chhu saka na sufi

wahi tar chheDta hai mera soz-e-shairana

(1498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mile Mujhko Gham Se Fursat To Sunaun Wo Fasana In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Mile Mujhko Gham Se Fursat To Sunaun Wo Fasana is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Mile Mujhko Gham Se Fursat To Sunaun Wo Fasana for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Mile Mujhko Gham Se Fursat To Sunaun Wo Fasana in PDF.