Kitni Bulandiyon Pe Sar-e-dar Aae Hain

kitni bulandiyon pe sar-e-dar aae hain

kisi marka mein ahl-e-junun haar aae hain

ghabra uThe hain zulmat-e-shab se to bar-ha

nale hamare lab pe sharar-bar aae hain

ai qissa-go azal se jo biti hai wo suna

kuchh log tere fan ke parastar aae hain

pai gulon se aabla-pai ki jab na dad

diwane hain ki su-e-lab-e-KHar aae hain

gham-KHwariyon ki tah mein dabi si masarraten

yun mere pas bhi mere gham-KHwar aae hain

pahunche hain jab bhi KHalwat-e-dil mein to ai nadim

aksar hum apne aap se be-zar aae hain

us bazm mein to mai ka kahin zikr tak na tha

aur hum wahan se be-KHud o sarshaar aae hain

us ki gali mein hum ne luTa di mata-e-jaan

us ki gali se hum to subuksar aae hain

karte rahe hain fan ki parastish tamam umr

mahshar mein kaise kaise gunahgar aae hain

'jazbi' jo ho sake to meri hairaton se puchh

kis tarah mere zehn mein ashaar aae hain

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Bulandiyon Pe Sar-e-dar Aae Hain In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Kitni Bulandiyon Pe Sar-e-dar Aae Hain is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Kitni Bulandiyon Pe Sar-e-dar Aae Hain for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Kitni Bulandiyon Pe Sar-e-dar Aae Hain in PDF.