Jab Kabhi Kisi Gul Par Ek Zara Nikhaar Aaya

jab kabhi kisi gul par ek zara nikhaar aaya

kam-nigah ye samjhe mausam-e-bahaar aaya

husn o ishq donon the be-karan o be-payan

dil wahan bhi kuchh lamhe jaane kab guzar aaya

us ufuq ko kya kahiye nur bhi dhundlaka bhi

bar-ha kiran phuTi bar-ha ghubar aaya

hum ne gham ke maron ki mahfilen bhi dekhin hain

ek gham-gusar uTha ek gham-gusar aaya

aarzu-e-sahil se hum kinara kya karte

jis taraf qadam uThe bahar-e-be-kanar aaya

yun to saikDon gham the par gham-e-jahan 'jazbi'

baad ek muddat ke dil ko sazgar aaya

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Kabhi Kisi Gul Par Ek Zara Nikhaar Aaya In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Jab Kabhi Kisi Gul Par Ek Zara Nikhaar Aaya is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Jab Kabhi Kisi Gul Par Ek Zara Nikhaar Aaya for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Jab Kabhi Kisi Gul Par Ek Zara Nikhaar Aaya in PDF.