Ai Ghairat-e-gham Aankh Meri Nam To Nahin Hai

ai ghairat-e-gham aankh meri nam to nahin hai

koi dil-e-KHun-gashta ka mahram to nahin hai

riste hue zaKHmon ka ho kuchh aur mudawa

ye harf-e-tasalli koi marham to nahin hai

KHamosh hain kyun nala-kshan-e-shab-e-hijran

ye tira-shabi aaj bhi kuchh kam to nahin hai

jalta to hai dil aaj bhi ai tirgi-e-gham

ek shama ki lau aaj bhi maddham to nahin hai

us bazm mein sab kuchh hai magar ai dil-e-pur-shauq

teri si talab tera sa aalam to nahin hai

kuchh wo bhi hain chup-chap se kuchh main bhi hun KHamosh

dar-parda koi ranjish-e-baham to nahin hai

(603) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Ghairat-e-gham Aankh Meri Nam To Nahin Hai In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Ai Ghairat-e-gham Aankh Meri Nam To Nahin Hai is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Ai Ghairat-e-gham Aankh Meri Nam To Nahin Hai for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Ai Ghairat-e-gham Aankh Meri Nam To Nahin Hai in PDF.