Aah Bhi Ek Koshish-e-nakaam Hai Mere Liye

aah bhi ek koshish-e-nakaam hai mere liye

aisi sahba-e-kuhan aur KHam hai mere liye

zindagi ek shorish-e-alam hai mere liye

jo nafas hai gardish-e-ayyam hai mere liye

shaeri hi wajh-e-nang-o-nam hai mere liye

aur jo kuchh hai wo sab ilzam hai mere liye

meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste

un ki KHamoshi bhi ek paigham hai mere liye

ye meri aashufta-e-haali ye meri aawargi

jaise sari gardish-e-ayyam hai mere liye

kis qadar masum kaisi garm kitni dil-nawaz

wo nigah-e-naz jo bad-nam hai mere liye

aaj kya hone ko hai ai gardish-e-haft-asman

har sitara larza-bar-andam hai mere liye

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah Bhi Ek Koshish-e-nakaam Hai Mere Liye In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Aah Bhi Ek Koshish-e-nakaam Hai Mere Liye is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Aah Bhi Ek Koshish-e-nakaam Hai Mere Liye for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Aah Bhi Ek Koshish-e-nakaam Hai Mere Liye in PDF.