Is But Ke Har Fareb Pe Qurban Se Rahe

is but ke har fareb pe qurban se rahe

ek umr apne miTne ke saman se rahe

us jaan-nawaz kuche mein hum bhi rahe magar

be-dil kabhi rahe kabhi be-jaan se rahe

rindan-e-mai-kada hain ki tang aa ke uTh gae

yaran-e-mai-kada hain ki anjaan se rahe

us mein chaman ka rang na is mein chaman ka rup

hum bu-e-gul se aaj pareshan se rahe

lab si liye jo KHanda-e-yaran ke KHauf se

barson hamare sine mein tufan se rahe

ye jaan aisi chiz hai kya phir bhi ham-nashin

hum un pe jaan de ke pasheman se rahe

gulshan mein josh-e-gul to bagula hain dasht mein

ahl-e-junun jahan bhi rahe aan se rahe

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is But Ke Har Fareb Pe Qurban Se Rahe In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Is But Ke Har Fareb Pe Qurban Se Rahe is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Is But Ke Har Fareb Pe Qurban Se Rahe for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Is But Ke Har Fareb Pe Qurban Se Rahe in PDF.