Intiha-e-gham Mein Mujhko Muskurana Aa Gaya

intiha-e-gham mein mujh ko muskurana aa gaya

hae ifaqa-e-mohabbat ka bahana aa gaya

is taraf ek aashiyane ki haqiqat khul gai

us taraf ek shoKH ko bijli girana aa gaya

ro diye wo KHud bhi mere girya-e-paiham pe aaj

ab haqiqat mein mujhe aansu bahana aa gaya

meri KHak-e-dil bhi aaKHir un ke kaam aa hi gai

kuchh nahin to un ko daman hi bachana aa gaya

wo KHarash-e-dil jo ai jazba-e-jazbi meri hamraaz thi

aaj use bhi zaKHm ban kar muskurana aa gaya

(1012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Intiha-e-gham Mein Mujhko Muskurana Aa Gaya In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Intiha-e-gham Mein Mujhko Muskurana Aa Gaya is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Intiha-e-gham Mein Mujhko Muskurana Aa Gaya for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Intiha-e-gham Mein Mujhko Muskurana Aa Gaya in PDF.