Phir Ishrat-e-sahil Yaad Aai Phir Shorish-e-tufan Bhul Gae

phir ishrat-e-sahil yaad aai phir shorish-e-tufan bhul gae

nairangi-e-dauran ke mare nairangi-e-dauran bhul gae

har manzil thi dil ki manzil jab dil ko gham-e-manzil na raha

har kucha kucha-e-jaanan tha jab kucha-e-jaanan bhul gae

ne kaif-e-mohabbat ka aalam ne raqs-e-wafa ne mauj-e-karam

kya wajh-e-jawaz-e-baada-kashi ai baada-gusaran bhul gae

ab sehn-e-gulistan mein 'jazbi' khilti hi nahin hai koi kali

aahang-e-nashat-agin shayad murghan-e-KHush-alhan bhul gae

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Ishrat-e-sahil Yaad Aai Phir Shorish-e-tufan Bhul Gae In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Phir Ishrat-e-sahil Yaad Aai Phir Shorish-e-tufan Bhul Gae is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Phir Ishrat-e-sahil Yaad Aai Phir Shorish-e-tufan Bhul Gae for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Phir Ishrat-e-sahil Yaad Aai Phir Shorish-e-tufan Bhul Gae in PDF.