Dagh-e-gham Dil Se Kisi Tarah MiTaya Na Gaya

dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya

main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na gaya

umr bhar yun to zamane ke masaib jhele

teri nazron ka magar bar uThaya na gaya

ruThne walon se itna koi ja kar puchhe

KHud hi ruThe rahe ya hum se manaya na gaya

phul chunna bhi abas sair-e-bahaaran bhi fuzul

dil ka daman hi jo kanTon se bachaya na gaya

us ne is tarah mohabbat ki nigahen Dalin

hum se duniya ka koi raaz chhupaya na gaya

thi haqiqat mein wahi manzil-e-maqsad 'jazbi'

jis jagah tujh se qadam aage baDhaya na gaya

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-e-gham Dil Se Kisi Tarah MiTaya Na Gaya In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Dagh-e-gham Dil Se Kisi Tarah MiTaya Na Gaya is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Dagh-e-gham Dil Se Kisi Tarah MiTaya Na Gaya for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Dagh-e-gham Dil Se Kisi Tarah MiTaya Na Gaya in PDF.