Dana-e-gham Na Mahram-e-raaz-e-hayat Hum

dana-e-gham na mahram-e-raaz-e-hayat hum

dhaDka rahe hain phir bhi dil-e-kaenat hum

han ek nigah-e-lutf ke haqdar the zarur

mana ki the na qabil-e-sad-iltifat hum

bim-e-KHizan se kis ko mafar tha magar nasim

karte rahe gulon se nikharne ki baat hum

ai shama dilbari teri mahfil se bar-ha

le kar uThe hain soz-e-gham-e-kaenat hum

DhunDa kiye hain rah-e-hawas rah-rawan-e-shauq

dekha kiye hain laghzish-e-pa-e-sabaat hum

un ke ghamon ka hae sahaara na puchhiye

kuchh pa gae hain apne ghamon se najat hum

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dana-e-gham Na Mahram-e-raaz-e-hayat Hum In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Dana-e-gham Na Mahram-e-raaz-e-hayat Hum is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Dana-e-gham Na Mahram-e-raaz-e-hayat Hum for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Dana-e-gham Na Mahram-e-raaz-e-hayat Hum in PDF.