Shamim-e-zulf O Gul-e-tar Nahin To Kuchh Bhi Nahin

shamim-e-zulf o gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin

dimagh-e-ishq moattar nahin to kuchh bhi nahin

gham-e-hayat baja hai magar gham-e-jaanan

gham-e-hayat se baDh kar nahin to kuchh bhi nahin

haqiqat-e-gham-e-dauran ke sath ai naseh

fareb-e-shisha-o-saghar nahin to kuchh bhi nahin

rah-e-wafa mein dil o jaan nisar kar jaen

agar ye apna muqaddar nahin to kuchh bhi nahin

azab-e-dard pe nazan hain ahl-e-dard magar

nashat-e-dard mayassar nahin to kuchh bhi nahin

ye kah ke chhoD di rah-e-KHirad mere dil ne

qadam qadam pe jo Thokar nahin to kuchh bhi nahin

wo harf jis se hai mansur o dar ko nisbat

lab-e-junun pe mukarrar nahin to kuchh bhi nahin

nasim ban ke hum aae hain is gulistan mein

kali kali jo gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin

(630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shamim-e-zulf O Gul-e-tar Nahin To Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Shamim-e-zulf O Gul-e-tar Nahin To Kuchh Bhi Nahin is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Shamim-e-zulf O Gul-e-tar Nahin To Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Shamim-e-zulf O Gul-e-tar Nahin To Kuchh Bhi Nahin in PDF.