Faza-e-shab Mein Sitare Hazar Guzre Hain

faza-e-shab mein sitare hazar guzre hain

ye aasman se dilon ke ghubar guzre hain

mahak uThe hain dar-o-baam o kucha o bazar

jahan jahan se tere baada-KHwar guzre hain

mizaj puchhte phirte hain zarre zarre ka

dilon ki rah se kuchh KHaksar guzre hain

kali ne baDh ke pukara gulon ne pyar kiya

kabhi chaman se jo sina-figar guzre hain

mujhe dikhao na KHun-e-jamal-e-lala-o-gul

meri nazar se ye naqsh o nigar guzre hain

baha saka na unhen waqt ka bhi sail-e-rawan

wo chand lamhe jo is dil pe bar guzre hain

hamari rah mein 'jazbi' pahaD aae pe hum

misal-e-abr sair-e-kohsar guzre hain

(616) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza-e-shab Mein Sitare Hazar Guzre Hain In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Faza-e-shab Mein Sitare Hazar Guzre Hain is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Faza-e-shab Mein Sitare Hazar Guzre Hain for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Faza-e-shab Mein Sitare Hazar Guzre Hain in PDF.