Shikwa Zaban Se Na Kabhi Aashna Hua

shikwa zaban se na kabhi aashna hua

nazron se kah diya jo mera muddaa hua

allah-ri be-KHudi ki chala ja raha hun main

manzil ko dekhta hua kuchh sochta hua

duniya laraz gai dil-e-iza-pasand ki

na-ashna-e-dard jo dard-ashna hua

phir ai dil-e-shikasta koi naghma chheD de

phir aa raha hai koi idhar jhumta hua

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikwa Zaban Se Na Kabhi Aashna Hua In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Shikwa Zaban Se Na Kabhi Aashna Hua is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Shikwa Zaban Se Na Kabhi Aashna Hua for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Shikwa Zaban Se Na Kabhi Aashna Hua in PDF.