Dil Mein Kuchh Soz-e-tamanna Ke Nishan Milte Hain

dil mein kuchh soz-e-tamanna ke nishan milte hain

is andhere mein ujale ke saman milte hain

aaj bhi rang-e-bayaban ke tapish-zaron mein

laDkhaDate hue qadmon ke nishan milte hain

han isi manzil-e-sa-kaif-o-tarab ki jaanib

qafile aaj bhi aashiq ke rawan milte hain

ai gire ham-safro is ko to manzil na kaho

aandhiyan uThti hain tufan yahan milte hain

un ke har wada-e-altaf ki rangini mein

kitne na-dida sitam-ha-e-giran milte hain

us ki mahfil mein wo bahke hue simin naghmen

ab to kuchh din se ba-andaz-e-fughan milte hain

yun gawara hai ye KHun-bar ufuq ka manzar

is ke partaw mein hamein taza jahan milte hain

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Kuchh Soz-e-tamanna Ke Nishan Milte Hain In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Dil Mein Kuchh Soz-e-tamanna Ke Nishan Milte Hain is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Dil Mein Kuchh Soz-e-tamanna Ke Nishan Milte Hain for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Dil Mein Kuchh Soz-e-tamanna Ke Nishan Milte Hain in PDF.