Chaman Mein The Jo Chaman Hi Ki Dastan Sunte

chaman mein the jo chaman hi ki dastan sunte

koi nawa koi naghma koi fughan sunte

qadam na chhoDte rahon ko ta-ba-manzil-e-shauq

hamari baat jo ye ahl-e-karwan sunte

tere qalam se to gulzar-e-be-nawa ka qafas

teri zaban se bhi kuchh haal-e-be-zaban sunte

hamare dard ka tufan kahan kahan na uTha

ye shor aap jahan chahte wahan sunte

ek umr apni bhi guzri hai ai chaman walo

gulon ke kunj mein andesha-e-KHizan sunte

kisi ka ranj kisi ka alam kisi ka malal

ab aur kya tha jo hum zer-e-asman sunte

gulon se bach ke chale bulbulon se katrae

wo mera qissa-e-KHunin kahan kahan sunte

kuchh is mein apna bhi soz-e-bayan tha ai 'jazbi'

wagarna log kab afsana-e-jahan sunte

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Mein The Jo Chaman Hi Ki Dastan Sunte In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Chaman Mein The Jo Chaman Hi Ki Dastan Sunte is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Chaman Mein The Jo Chaman Hi Ki Dastan Sunte for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Chaman Mein The Jo Chaman Hi Ki Dastan Sunte in PDF.