Kitni Bulandiyon Pe Sar-e-dar Aae Hain
kitni bulandiyon pe sar-e-dar aae hain
kis marka mein ahl-e-junun haar aae hain
ghabra uThe hain zulmat-e-shab se to bar-ha
nale hamare lab pe sharar-bar aae hain
ai qissa-go azal se jo biti hai wo suna
kuchh log tere fan ke parastar aae hain
pai gulon se aabla-pai ki jab na dad
diwane hain ki su-e-lab-e-KHar aae hain
gham-KHwariyon ki tah mein dabi si masarraten
yun mere pas bhi mere gham-KHwar aae hain
pahunche hain jab bhi KHalwat-e-dil mein to ai nadim
akasr hum apne-ap se bezar aae hain
us bazm mein to mai ka kahin zikr tak na tha
aur hum wahan se be-KHud o sarshaar aae hain
(1145) Peoples Rate This