Sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan Kuchh Aur Bhi Hain

sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan kuchh aur bhi hain

sitamgaro abhi ahl-e-kafan kuchh aur bhi hain

rawan-dawan yunhi ai nannhi bundiyon ke abr

ki is dayar mein ujDe chaman kuchh aur bhi hain

KHuda kare na thaken hashr tak junun ke panw

abhi manazil-e-ranj-o-mehan kuchh aur bhi hain

abhi sumum ne mani kahan nasim se haar

abhi to marka-ha-e-chaman kuchh aur bhi hain

abhi to hain dil-e-shair hain saikDon nasur

abhi to moajiza-ha-e-suKHan kuchh aur bhi hain

dil-e-gudaz ne aankhon ko de diye aansu

ye jaante hue gham ke chalan kuchh aur bhi hain

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan Kuchh Aur Bhi Hain In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. Sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan Kuchh Aur Bhi Hain is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem Sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan Kuchh Aur Bhi Hain for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download Sharik-e-mahfil-e-dar-o-rasan Kuchh Aur Bhi Hain in PDF.