BaDe Naz Se Aaj Ubhra Hai Suraj

baDe naz se aaj ubhra hai suraj

himala ke unche kalas jagmagae

pahaDon ke chashmon ko sona banaya

nae bil nae zor in ko sikhae

libas-e-zari aabshaaron ne paya

nashebi zaminon pe chhinTe uDae

ghane unche unche daraKHton ka manzar

ye hain aaj sab aab-e-zar mein nahae

magar in daraKHton ke sae mein ai dil

hazaron baras ke ye ThiThure se paude

hazaron baras ke ye simTe se paude

ye hain aaj bhi sard behaal be-dam

ye hain aaj bhi apne sar ko jhukae

are o nai shan ke mere suraj

teri aab mein aur bhi tab aae

tere pas aisi bhi koi kiran hai

jo aise daraKHton mein bhi rah pae

jo Thahre huon ko jo simTe huon ko

hararat bhi baKHshe gale bhi lagae

baDe naz se aaj ubhra hai suraj

himala ke unche kalas jagmagae

fazaon mein hone lagi barish-e-zar

koi naznin jaise afshan chhuDae

damakne lage yun KHalaon ke zarre

ki taron ki duniya ko bhi rashk aae

hamare uqabon ne angDaiyan lin

sunahri hawaon mein par phaDphaDae

fuzun-tar hua nashsha-e-kaamrani

tajassus ki aankhon mein Dore se aae

qadam chumne barq-o-baad aab-o-atish

ba-sad-shauq dauDe ba-sad-ijz aae

magar barq o aatish ke sae mein ai dil

ye sadiyon ke KHud-rafta nashad tair

ye sadiyon ke par-basta barbaad tair

ye hain aaj bhi muzmahil dil-girafta

ye hain aaj bhi apne sar ko chhupae

are o nai shan ke mere suraj

teri aab mein aur bhi tab aae

tere pas aisi bhi koi kiran hai

unhen panja-e-tez se jo bachae

inhen jo nae baal-o-par aa ke baKHshe

inhen jo nae sir se uDna sikhae

(1035) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDe Naz Se Aaj Ubhra Hai Suraj In English By Famous Poet Moin Ahsan Jazbi. BaDe Naz Se Aaj Ubhra Hai Suraj is written by Moin Ahsan Jazbi. Read famous Poem BaDe Naz Se Aaj Ubhra Hai Suraj for youth and Student by Moin Ahsan Jazbi. Free Download BaDe Naz Se Aaj Ubhra Hai Suraj in PDF.