Ajab Be-kaif Hai Raaton Ki Tanhai Kai Din Se

ajab be-kaif hai raaton ki tanhai kai din se

kisi ki yaad bhi dil mein nahin aai kai din se

bahut maghmum hai shan-e-masihai kai din se

baDhi jati hai zaKHm-e-dil ki gahrai kai din se

kali ne bhi uDaya tha mazaq-e-girya-e-shabnam

paDi hai KHak par KHushk aur murjhai kai din se

chura lai hai shayad nikhat-e-gul sehn-e-gulshan se

nasim-e-subh kyun phirti hai ghabrai kai din se

KHuda jaane ye ab kya ho gaya hum bad-nasibon ko

ki tere gham ki lazzat bhi na ras aai kai din se

idhar bhi ek nazar ai malik-e-virana-o-gulshan

tere kuche mein phirta hai ye saudai kai din se

shahid-e-ishq ki ye maut hai ya zindagi yarab

nahin malum kyun bajti hai shahnai kai din se

qayamat se nahin kam furqat-e-ahbab ka gham bhi

dil-e-muztar ko roti hai shakebai kai din se

nazar mein tishnagi lab par duaen dil mein ummiden

haram ke gard phirta hai tamannai kai din se

dil-e-bimar se kya kah diya un ki nigahon ne

kuchh ab mahsus hoti hai tawanai kai din se

kisi ahl-e-nazar ki phir unhen shayad zarurat hai

ki phir betab hai shauq-e-KHud-arai kai din se

sunen arbab-e-mahfil gosh-e-dil se dil ki aawazen

ki 'zauqi' kar raha hai naghma-pairai kai din se

(469) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Be-kaif Hai Raaton Ki Tanhai Kai Din Se In English By Famous Poet Muhammad Ayyub Zauqi. Ajab Be-kaif Hai Raaton Ki Tanhai Kai Din Se is written by Muhammad Ayyub Zauqi. Read famous Poem Ajab Be-kaif Hai Raaton Ki Tanhai Kai Din Se for youth and Student by Muhammad Ayyub Zauqi. Free Download Ajab Be-kaif Hai Raaton Ki Tanhai Kai Din Se in PDF.