Wo Namaz-e-ishq Hi Kya Jo Salam Tak Na Pahunche

wo namaz-e-ishq hi kya jo salam tak na pahunche

ki quud se jo guzre to qayam tak na pahunche

wo hayat kya ki jis mein na KHushi ke sath gham ho

wo sahar bhi kya sahar hai ki jo sham tak na pahunche

tere mai-kade ka saqi ye chalan bhi kya chalan hai

ki jo hath tishna-kaamon ke bhi jam tak na pahunche

mari na-muradiyon ki yahi intiha hai shayad

teri bargah-e-ali mein salam tak na pahunche

use apni bad-nasibi na kahen to phir kahen kya

ki hazar koshishon par rah-e-am tak na pahunche

ye muKHasamat ke jazbe ye mahaz hasidon ke

magar umr bhar wo 'zauqi' ke maqam tak na pahunche

(1256) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Namaz-e-ishq Hi Kya Jo Salam Tak Na Pahunche In English By Famous Poet Muhammad Ayyub Zauqi. Wo Namaz-e-ishq Hi Kya Jo Salam Tak Na Pahunche is written by Muhammad Ayyub Zauqi. Read famous Poem Wo Namaz-e-ishq Hi Kya Jo Salam Tak Na Pahunche for youth and Student by Muhammad Ayyub Zauqi. Free Download Wo Namaz-e-ishq Hi Kya Jo Salam Tak Na Pahunche in PDF.