Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai

nigah-e-fitrat mein dar-haqiqat wo zindagi zindagi nahin hai

jo dusron ke na kaam aae wo aadmi aadmi nahin hai

kisi ke jalwon ka aks-e-rangin kabhi hai dil mein kabhi nahin hai

main kis tarah man lun ki zauq-e-yaqin ki tujh mein kami nahin hai

phir aur kya hai agar zawal-e-KHudi-o-KHud-agahi nahin hai

dil-o-nazar ko ye kya hua hai kahin bhi aasudgi nahin hai

zaban pe rindan-e-kam-nazar ki shikayat-e-saqi-e-azal hai

talab siwa ho jo zarf dil se hawas hai wo tishnagi nahin hai

jo qalb ko zindagi na baKHshe nazar ko kaif-o-KHudi na baKHshe

wo zauq-e-sajda hai nang-e-sajda ibaadat-o-bandagi nahin hai

haqiqaton se gurez insan ka ek ehsas-e-kamtari hai

hayat baKHshe jo zulmaton ko wo raushni raushni nahin hai

mera tasawwur hai kaenati shuur mera jamaliyati

mere KHayal-o-nazar mein 'zauqi' koi bashar ajnabi nahin hai

(536) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai In English By Famous Poet Muhammad Ayyub Zauqi. Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai is written by Muhammad Ayyub Zauqi. Read famous Poem Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai for youth and Student by Muhammad Ayyub Zauqi. Free Download Nigah-e-fitrat Mein Dar-haqiqat Wo Zindagi Zindagi Nahin Hai in PDF.