Hum Hijr Ki Kali Raaton Mein Jab Bistar-e-KHwab Pe Jate Hain

hum hijr ki kali raaton mein jab bistar-e-KHwab pe jate hain

mazi ke tamam masaib ek ek kar ke samne aate hain

phir mustaqbil ke bhayanak chehre par jab nazren paDti hain

is haibatnak tasawwur se hum Darte hain ghabraate hain

ghairon se wo milte rahte hain KHud ja ja kar tanhai mein

mera kya hai zikr bhala mere sae se bhi sharmate hain

mujh mein aur mere raqibon mein hai farq bas itna thoDa sa

un ko surat dikhlate hain mujh ko aankhen dikhlate hain

shayad is kal se murad hua karti hai qayamat ki duri

'zauqi' se wo apne jab bhi kabhi kal ka wada farmate hain

(542) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hijr Ki Kali Raaton Mein Jab Bistar-e-KHwab Pe Jate Hain In English By Famous Poet Muhammad Ayyub Zauqi. Hum Hijr Ki Kali Raaton Mein Jab Bistar-e-KHwab Pe Jate Hain is written by Muhammad Ayyub Zauqi. Read famous Poem Hum Hijr Ki Kali Raaton Mein Jab Bistar-e-KHwab Pe Jate Hain for youth and Student by Muhammad Ayyub Zauqi. Free Download Hum Hijr Ki Kali Raaton Mein Jab Bistar-e-KHwab Pe Jate Hain in PDF.