Kabhi Dua To Kabhi Bad-dua Se LaDte Hue

kabhi dua to kabhi bad-dua se laDte hue

tamam umr guzari hawa se laDte hue

hue na zer kisi intiha se laDte hue

mahaz haar gae hum qaza se laDte hue

bikhar raha hun faza mein ghubar ki surat

KHilaf-e-maslahat apni ana se laDte hue

faza badalte hi jag uTThi fitrat-e-mai-kash

shikast kha gai tauba ghaTa se laDte hue

qalam ki nok se bahta raha lahu mera

hisar-e-KHilqat-e-fikr-e-rasa se laDte hue

junun naward ko manzar na koi ras aaya

mara to shoKHi-e-ab-o-hawa se laDte hue

pahunch sake na kisi KHush-gawar manzil tak

tumhaari yaad ki zanjir-e-pa se laDte hue

unhin pe band hua irtiqa ka darwaza

fana hue hain jo apni baqa se laDte hue

'zafar' ghire to usi razm-e-gah-e-hasti mein

hue shahid saf-e-karbala se laDte hue

(1293) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Dua To Kabhi Bad-dua Se LaDte Hue In English By Famous Poet Zafar Moradabadi. Kabhi Dua To Kabhi Bad-dua Se LaDte Hue is written by Zafar Moradabadi. Read famous Poem Kabhi Dua To Kabhi Bad-dua Se LaDte Hue for youth and Student by Zafar Moradabadi. Free Download Kabhi Dua To Kabhi Bad-dua Se LaDte Hue in PDF.