Ghurur-o-naz-o-takabbur Ke Din To Kab Ke Gae

ghurur-o-naz-o-takabbur ke din to kab ke gae

zahir ab wo zamane hasab-nasab ke gae

bahut ghurur gulistan mein tha gulabon ko

tumhein jo dekha to hosh-o-hawas sab ke gae

macha hai shor KHizan ka hai ruKH usi jaanib

agar ye sach hai to samjho ki hum bhi ab ke gae

KHulus se na sahi rasm hi nibhane ko

tum aa gae ho to shikwe tamam lab ke gae

wo chandni wo tabassum wo pyar ki baaten

hui sahar to wo manzar tamam shab ke gae

kabhi to halqa-e-zanjir-e-yas bhi TuTe

kabhi to lauT ke aaen wo lamhe jab ke gae

(1280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghurur-o-naz-o-takabbur Ke Din To Kab Ke Gae In English By Famous Poet Zaheer Ahmad Zaheer. Ghurur-o-naz-o-takabbur Ke Din To Kab Ke Gae is written by Zaheer Ahmad Zaheer. Read famous Poem Ghurur-o-naz-o-takabbur Ke Din To Kab Ke Gae for youth and Student by Zaheer Ahmad Zaheer. Free Download Ghurur-o-naz-o-takabbur Ke Din To Kab Ke Gae in PDF.