Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka

hai aam azal hi se faizan mohabbat ka

imkan musallam hai imkan mohabbat ka

toDa nahin ja sakta paiman mohabbat ka

nuqsan KHud apna hai nuqsan mohabbat ka

phir un ki nigahon se Takrai meri nazren

phir baDhne laga dil mein tufan mohabbat ka

ek ek tamanna mein lakhon hain tamannaen

armanon ki duniya hai arman mohabbat ka

is waste muslim ki fitrat mein mohabbat hai

deta hai sabaq us ko quran mohabbat ka

barbaad-e-mohabbat ki haalat hai ajab haalat

hai be-sar-o-samani saman mohabbat ka

jazbaat mohabbat ke main lakh chhupata hun

karti hain meri nazren elan mohabbat ka

goya mere sine mein mizan-e-mohabbat hai

yun dil mein jigar mein hai paikan mohabbat ka

wo nur ka partaw hai ya husn ka partaw hai

hai din mohabbat ka iman mohabbat ka

jo dard ka hamil hai wo zauq mein kaamil hai

behis ko nahin hota iqan mohabbat ka

ijmal ye be-shak hai tafsil ka aaina

mazmun pe hawi hai unwan mohabbat ka

hain us ke tasawwur ko ghere hue arman sab

rahta hai faqiron mein sultan mohabbat ka

aati hai nazar us mein iKHlas ki har surat

aaina hai aaina insan mohabbat ka

nairang mohabbat ka har sher se zahir hai

hai 'qadr' ka diwan bhi diwan mohabbat ka

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka In English By Famous Poet Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka is written by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Read famous Poem Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka for youth and Student by Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr. Free Download Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka in PDF.