Tamam Hijr Usi Ka Visal Hai Us Ka

tamam hijr usi ka visal hai us ka

main ji raha hun magar jaan o mal hai us ka

wo zina zina utarne lage to sab bujh jae

wo baam par hai to sab mah-o-sal hai us ka

main qatl ho ke bhi sharminda apne-ap se hun

ki is ke baad to sara zawal hai us ka

ugal rahi hain KHazane khuli hui aankhen

KHabar karo ki ye sar paemal hai us ka

hazar sal se hun tishna-e-sawal-o-jawab

main itna pyasa hun sona muhaal hai us ka

uThae hath to angDai istiara bane

wo tab-o-tab hai ki har dil ghazal hai us ka

qadam qadam shajar-e-saya-dar paida hai

ki mere sath safar mein KHayal hai us ka

wo le ke aaya hai apni sarisht mein shabnam

safar bhi jaanib-e-baad-e-shimal hai us ka

nigah uTThe to shaista-e-junun ho jaen

hawas ko said kare wo jamal hai us ka

KHabar nahin thi ki yun us mein Dub jaenge

hamare chehre pe rang-e-malal hai us ka

kabhi kabhi to baDe zor se dhaDakta hai

ye mera dil nahin koi kamal hai us ka

jo aaya hijr ka mausam to kya karenge hum

jo tajrabe mein nahin wo sawal hai us ka

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Hijr Usi Ka Visal Hai Us Ka In English By Famous Poet Abul Hasanat Haqqi. Tamam Hijr Usi Ka Visal Hai Us Ka is written by Abul Hasanat Haqqi. Read famous Poem Tamam Hijr Usi Ka Visal Hai Us Ka for youth and Student by Abul Hasanat Haqqi. Free Download Tamam Hijr Usi Ka Visal Hai Us Ka in PDF.