Ishq-e-dahan Mein Guzri Hai Kya Kuchh Na Puchhiye

ishq-e-dahan mein guzri hai kya kuchh na puchhiye

naguftani hai haal mera kuchh na puchhiye

kya dard-e-ishq ka hai maza kuchh na puchhiye

kahta hai dil kisi se dawa kuchh na puchhiye

mahshar ke daghdaghe ka main ahwal kya kahun

hangama jo hua so hua kuchh na puchhiye

jab puchhiye to puchhiye kya guzri ishq mein

hum se to aur us ke siwa kuchh na puchhiye

kya kya ye sabz bagh dikhati hai naza mein

dam de rahi hai jo jo qaza kuchh na puchhiye

puchha jo hum ne gor-e-ghariban ka ja ke haal

aai ye turbaton se sada kuchh na puchhiye

qismat se paiye jo kabhi us ko KHush-mizaj

kya kuchh na kahiye yar se kya kuchh na puchhiye

ragDi hain eDiyan to hui hai ye mustajab

kis aajizi se ki hai dua kuchh na puchhiye

chhoDa jo murda jaan ke sayyaad ne mujhe

kyunkar uDa main ho ke riha kuchh na puchhiye

tarsa kiya main daulat-e-didar ke liye

qismat ne jo suluk kiya kuchh na puchhiye

ulfat ka nam le ke nazar-band ho gae

pai jo pyar kar ke saza kuchh na puchhiye

kya sarguzisht gor-e-ghariban ki main kahun

ahwal-e-bandagan-e-KHuda kuchh na puchhiye

KHushbu ne aap ki jo sar-afraaz use kiya

kis naz se chali hai saba kuchh na puchhiye

puchha 'sharaf' ke marne ka un se jo waqia

aankhon mein ashk bhar ke kaha kuchh na puchhiye

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq-e-dahan Mein Guzri Hai Kya Kuchh Na Puchhiye In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Ishq-e-dahan Mein Guzri Hai Kya Kuchh Na Puchhiye is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Ishq-e-dahan Mein Guzri Hai Kya Kuchh Na Puchhiye for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Ishq-e-dahan Mein Guzri Hai Kya Kuchh Na Puchhiye in PDF.