Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-e-bayaban

paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban

shan-e-chaman-e-KHuld hui shan-e-bayaban

diwana tera mar ke hua zinda-e-jawed

ruh us ki jo nikli to hui jaan-e-bayaban

mujh sa bhi jahan mein koi saudai na hoga

samjha lahad-e-qais ko aiwan-e-bayaban

virana-nashini hai azal se meri jagir

qismat ne diya hai mujhe farman-e-bayaban

wahshat pe meri aahuon ke bahte hain aansu

hairat pe meri rote hain haiwan-e-bayaban

hai aalam-e-hu turbat-e-majnun ka mujawar

sannaTe ka aalam hai nigahban-e-bayaban

jis roz mere hosh ke ham-rah uDenge

dam toD ke mar jaenge murghan-e-bayaban

ek din hi ye mauquf hua KHak ka uDna

kya kya na kiya qais ne saman-e-bayaban

parwa na thi basti ki na thi yaad watan ki

allah re mad-hoshi-o-nisyan-e-bayaban

rahte hain mere gird pari-zad hazaron

hun aalam-e-wahshat mein sulaiman-e-bayaban

laila pe jo aalam hai to majnun bhi hai KHush-ru

wo hur-e-bayaban hai wo ghilman-e-bayaban

is tabqe ki manzur jo ki tum ne tabahi

barbaadi hui dast-o-gareban-e-bayaban

afsos hai is najd ko majnun ne basaya

laila jise kahti hai bayaban-e-bayaban

dil khol ke ji chahta hai KHak uDaun

phirne ko mila hai mujhe maidan-e-bayaban

jis din se bani hai tere diwane ki turbat

hote hain pari-zad bhi qurban-e-bayaban

sheron ke hila Dale hain dil us ke junun ne

majnun hai ki hai rustam-e-dastan-e-bayaban

jis waqt 'sharaf' laila o majnun ne qaza ki

ek ghul hua ruKHsat hue mehman-e-bayaban

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-e-bayaban In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-e-bayaban is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-e-bayaban for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-e-bayaban in PDF.