Aaj Yun Mujhse Mila Hai Ki KHafa Ho Jaise

aaj yun mujh se mila hai ki KHafa ho jaise

us ka ye husn bhi kuchh meri KHata ho jaise

wahi mayusi ka aalam wahi naumidi ka rang

zindagi bhi kisi muflis ki dua ho jaise

kabhi KHamoshi bhi yun bolti hai pyar ke bol

koi KHamoshi mein bhi naghma-sara ho jaise

harf-e-dushnam se yun us ne nawaza hum ko

ye malamat hi mohabbat ka sila ho jaise

is takalluf se sitam hum pe rawa rakhta hai

ye bhi minjumla-e-adab-e-wafa ho jaise

gham-e-ayyam pe yun KHush hain tere diwane

gham-e-ayyam bhi ek teri ada ho jaise

bandagi hum ko to aai ki na aai lekin

husn yun ruTh gaya hai ki KHuda ho jaise

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Yun Mujhse Mila Hai Ki KHafa Ho Jaise In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Aaj Yun Mujhse Mila Hai Ki KHafa Ho Jaise is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem Aaj Yun Mujhse Mila Hai Ki KHafa Ho Jaise for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download Aaj Yun Mujhse Mila Hai Ki KHafa Ho Jaise in PDF.