Ye Shauq Sare Yaqin-o-guman Se Pahle Tha

ye shauq sare yaqin-o-guman se pahle tha

main sajda-rez nawa-e-azan se pahle tha

hain kaenat ki sab wusaten usi ki gawah

jo har zamin se har aasman se pahle tha

sitam hai us se kahun jism-o-jaan pe kya guzri

ki jis ko ilm mere jism-o-jaan se pahle tha

usi ne di hai wahi ek din bujhaega pyas

jo soz-e-sina-o-ashk-e-rawan se pahle tha

usi se thi aur usi se rahegi apni talab

jo aarzu ki har ek in-o-an se pahle tha

wo sun raha hai meri be-zabaniyon ki zaban

jo harf-o-saut-o-sada-o-zaban se pahle tha

ye hamd husn-e-bayan hai mera ki ijz-e-suKHan

har ek wasf jab us ka bayan se pahle tha

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Shauq Sare Yaqin-o-guman Se Pahle Tha In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Ye Shauq Sare Yaqin-o-guman Se Pahle Tha is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem Ye Shauq Sare Yaqin-o-guman Se Pahle Tha for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download Ye Shauq Sare Yaqin-o-guman Se Pahle Tha in PDF.