Kabhi ZaKHm ZaKHm Nikhar Ke Dekh Kabhi Dagh Dagh Sanwar Ke Dekh

kabhi zaKHm zaKHm nikhar ke dekh kabhi dagh dagh sanwar ke dekh

kabhi tu bhi TuT meri tarah kabhi reza reza bikhar ke dekh

sar-e-KHar se sar-e-sang se jo hai mera jism lahu lahu

kabhi tu bhi to mere sang-e-mil kabhi rang mere safar ke dekh

isi khel se kabhi paega tu gudaz-e-qalb ki neamaten

kabhi ruTh ja kabhi man ke dekh kabhi jit ja kabhi har ke dekh

ye paDi hain sadiyon se kis liye tere mere beach judaiyan

kabhi apne ghar tu mujhe bula kabhi raste mere ghar ke dekh

tujhe aaine mein na mil sakega teri adaon ka bankpan

agar apna husn hai dekhna to meri ghazal mein utar ke dekh

wahi mera dard rawan-dawan wahi tera husn jawan jawan

kabhi 'mir'-o-'dard' ke bait paDh kabhi sher 'dagh'-o-'jigar' ke dekh

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi ZaKHm ZaKHm Nikhar Ke Dekh Kabhi Dagh Dagh Sanwar Ke Dekh In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Kabhi ZaKHm ZaKHm Nikhar Ke Dekh Kabhi Dagh Dagh Sanwar Ke Dekh is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem Kabhi ZaKHm ZaKHm Nikhar Ke Dekh Kabhi Dagh Dagh Sanwar Ke Dekh for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download Kabhi ZaKHm ZaKHm Nikhar Ke Dekh Kabhi Dagh Dagh Sanwar Ke Dekh in PDF.