SannaTa Tufan Se Siwa Ho Ye Bhi To Ho Sakta Hai

sannaTa tufan se siwa ho ye bhi to ho sakta hai

ye kuchh aur baDa dhoka ho ye bhi to ho sakta hai

zabt-e-junun se andazon par dar to band nahin hote

tu mujh se baDh kar ruswa ho ye bhi to ho sakta hai

rahne de ye harf-e-tasalli meri himmat past na kar

nakaami hi mein rasta ho ye bhi to ho sakta hai

DhunDne wala DhunD raha hai aur andaz jafaon ke

mujh ko wafa ka zaKHm laga ho ye bhi to ho sakta hai

lao ek lamhe ko apne-ap mein Dub ke dekh aaun

KHud mujh mein hi mera KHuda ho ye bhi to ho sakta hai

mujh ko to ye eazaz bahut hai lekin teri tamanna ne

mere labon se kaam liya ho ye bhi to ho sakta hai

aaKHir apne qadmon ko kyun hum mulzim Thahraate hain

rahon ne munh moD liya ho ye bhi to ho sakta hai

mere tasawwur ne baKHshi hai tanhai ko bhi ek mahfil

tu mahfil mahfil tanha ho ye bhi to ho sakta hai

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SannaTa Tufan Se Siwa Ho Ye Bhi To Ho Sakta Hai In English By Famous Poet Akbar Ali Khan Arshi Zadah. SannaTa Tufan Se Siwa Ho Ye Bhi To Ho Sakta Hai is written by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Read famous Poem SannaTa Tufan Se Siwa Ho Ye Bhi To Ho Sakta Hai for youth and Student by Akbar Ali Khan Arshi Zadah. Free Download SannaTa Tufan Se Siwa Ho Ye Bhi To Ho Sakta Hai in PDF.