Maqtal

mere sine pe sar rakh ke roti rahi

meri palkon se palken bhigoti rahi

main bhi rota raha

mere sine pe sar rakh ke soti rahi

main bhi sota raha

meri aankhon mein kuchh DhunDhti si rahi

main bhi dekha kiya

KHamushi ke hijabon mein halchal rahi

main khaDa pur-sukun but taDapta raha

waqt-o-haalat phir darmiyan aa gae

dur hote gae

phir KHuda hafiz

phir juda ho gae

phir tasawwur ki duniya

masafat ki aDchan

wahi waqt-o-haalat ki bandishen

do dhaDakte dilon aarzuon ko

duniya ne maqtal mein apne

kiya hai tah-e-tegh

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqtal In English By Famous Poet Akhlaq Ahmad Ahan. Maqtal is written by Akhlaq Ahmad Ahan. Read famous Poem Maqtal for youth and Student by Akhlaq Ahmad Ahan. Free Download Maqtal in PDF.