Tum Apni Zaban Khaali Kar Ke Ai Nukta-waro Pachhtaoge

tum apni zaban KHali kar ke ai nukta-waro pachhtaoge

main KHub samajhta hun us ko jo baat mujhe samjhaoge

ek main hi nahin hun tum jis ko jhuTa kah kar bach jaoge

duniya tumhein qatil kahti hai kis ko kis ko jhuTlaoge

ya rahat-e-dil ban kar aao ya aafat-e-dil ban kar aao!

pahchan hi lunga main tum ko jis bhes mein bhi tum aaoge

har baat bisat-e-alam mein manind-e-sada-e-gumbad hai

auron ko bura kahne walo tum KHud bhi bure kahlaoge

phir chain na paoge 'aKHtar' is dard ki mari duniya mein

is dar se agar uTh jaoge dar, dar ki Thokar khaoge

(961) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Apni Zaban Khaali Kar Ke Ai Nukta-waro Pachhtaoge In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Tum Apni Zaban Khaali Kar Ke Ai Nukta-waro Pachhtaoge is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Tum Apni Zaban Khaali Kar Ke Ai Nukta-waro Pachhtaoge for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Tum Apni Zaban Khaali Kar Ke Ai Nukta-waro Pachhtaoge in PDF.