Kash

tumhaare chehre par

sirf do aankhen meri aashna hain

jo mujh se ham-kalam rahti hain

main tumhein apni tamam hissiyat ki yaksui se mila hun

tumhaara jism meri poron ke liye ajnabi sahi

lekin phir bhi

tumhaari KHushbu mein lipTa hua tumhaara lams

mujhe basi nahin hone deta

kanakhiyon se dekhte hue sochta hun

tumhein ji bhar kar dekhne se bhi

aankhen bhuki rah jati hain!

ai mere be-baha!

kash main har samt se

hazar aankhon se tumhein dekhta

lakhon masamon se tumhaare lams chunta

aur tumhaare donon honTon ko

apne pure badan se chum sakta!

(1278) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kash In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Kash is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Kash for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Kash in PDF.