Maza Deta Hai Yaad Aa Kar Tera Bismil Bana Dena

maza deta hai yaad aa kar tera bismil bana dena

laga dena zara tir-e-nazar han phir laga dena

wo mera be-KHudi mein us ke munh se munh mila dena

qayamat ek chup ka phir wo donon ko saza dena

ada-e-sharm ho KHalwat mein ya andaz shoKHi ke

tere har naz par hum ko to jaan ai dilruba dena

hamara aarzu-e-bosa karna tujh se dar-parda

tera dushnam dena aur kya kya barmala dena

sifarish ham-damon ki un ka jate waqt ye kahna

ki jab taDpe meri taswir sine se laga dena

na hone pae waqif lazzat-e-tazir se dushman

mazahir chand ho us ki magar hum ko saza dena

udhar us lab se nikla shoKH chitwan ko na dena dil

udhar chashm-e-suKHan-go ne ishaaron mein kaha dena

labon se lab mila len wasl mein sine se ya sina

magar mumkin nahin us but ke dil se dil mila dena

agar ahd-e-wafa se tu bhi phir jae mohabbat mein

'hijab' us shoKH ko malum ho jae dagha dena

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maza Deta Hai Yaad Aa Kar Tera Bismil Bana Dena In English By Famous Poet Anwari Jahan Begum Hijab. Maza Deta Hai Yaad Aa Kar Tera Bismil Bana Dena is written by Anwari Jahan Begum Hijab. Read famous Poem Maza Deta Hai Yaad Aa Kar Tera Bismil Bana Dena for youth and Student by Anwari Jahan Begum Hijab. Free Download Maza Deta Hai Yaad Aa Kar Tera Bismil Bana Dena in PDF.