Muhit-e-rahmat Hai Josh-afza Hui Hai Abr-e-saKHa Ki Aamad

muhit-e-rahmat hai josh-afza hui hai abr-e-saKHa ki aamad

KHuda ki har chiz kah rahi hai ki ab hai nur-e-KHuda ki aamad

falak ko hai aarzu ki jhuk kar main apne tare karun nichhawar

hui hai makka ki sar-zamin pe ye aaj kis mah-laqa ki aamad

har ek muhib par ye fazl-e-rab hai asar ko nalon ki KHud talab hai

magar us altaf ka sabab hai habib-e-rabb-ul-alal ki aamad

'hijab' paiham ye kah raha hai gunahgaron ne josh-e-rahmat

mubarak ai aasiyo mubarak shafi-e-roz-e-jaza ki aamad

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muhit-e-rahmat Hai Josh-afza Hui Hai Abr-e-saKHa Ki Aamad In English By Famous Poet Anwari Jahan Begum Hijab. Muhit-e-rahmat Hai Josh-afza Hui Hai Abr-e-saKHa Ki Aamad is written by Anwari Jahan Begum Hijab. Read famous Poem Muhit-e-rahmat Hai Josh-afza Hui Hai Abr-e-saKHa Ki Aamad for youth and Student by Anwari Jahan Begum Hijab. Free Download Muhit-e-rahmat Hai Josh-afza Hui Hai Abr-e-saKHa Ki Aamad in PDF.