Zara Mushkil Se Samjhenge Hamare Tarjuman Hum Ko

zara mushkil se samjhenge hamare tarjuman hum ko

abhi dohra rahi hai KHud hamari dastan hum ko

kisi ko kya KHabar patthar ke pairon par khaDe hain hum

sadaon par sadaen de rahe hain karwan hum ko

hum aise surma hain laD ke jab haalat se palTe

to baDh ke zindagi ne pesh kin baisakhiyan hum ko

sambhaala hosh jab hum ne to kuchh muKHlis azizon ne

kai chehre diye aur ek patthar ki zaban hum ko

uTha hai shor KHud apne hi andar se magar akasr

dahal ke band kar lena paDi hain khiDkiyan hum ko

hum apne jism mein bikhre hue hain ret ki surat

sameTengi kahan tak zindagi ki muTThiyan hum ko

bichhaD ke bhiD mein KHud se hawason ka wo aalam tha

ki munh khole hue takti rahin parchhaiyan hum ko

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Mushkil Se Samjhenge Hamare Tarjuman Hum Ko In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Zara Mushkil Se Samjhenge Hamare Tarjuman Hum Ko is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Zara Mushkil Se Samjhenge Hamare Tarjuman Hum Ko for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Zara Mushkil Se Samjhenge Hamare Tarjuman Hum Ko in PDF.