Hawa Mein Phirte Ho Kya Hirs Aur Hawa Ke Liye

hawa mein phirte ho kya hirs aur hawa ke liye

ghurur chhoD do ai ghafilo KHuda ke liye

gira diya hai hamein kis ne chah-e-ulfat mein

hum aap Dube kisi apne aashna ke liye

jahan mein chahiye aiwan o qasr shahon ko

ye ek gumbad-e-gardun hai bas gada ke liye

wo aaina hai ki jis ko hai hajat-e-simab

ek iztirab hai kafi dil-e-safa ke liye

tapish se dil ka ho kya jaane sine mein kya haal

jo tere tir ka rauzan na ho hawa ke liye

tabib-e-ishq ki dukkan mein DhunDte phirte

ye dardmand-e-mohabbat teri dawa ke liye

jo hath aae 'zafar' KHak-pa-e-'faKHruddin'

to main rakhun use aankhon ke tutiya ke liye

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Mein Phirte Ho Kya Hirs Aur Hawa Ke Liye In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Hawa Mein Phirte Ho Kya Hirs Aur Hawa Ke Liye is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Hawa Mein Phirte Ho Kya Hirs Aur Hawa Ke Liye for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Hawa Mein Phirte Ho Kya Hirs Aur Hawa Ke Liye in PDF.