Bhari Hai Dil Mein Jo Hasrat Kahun To Kis Se Kahun

bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun

sune hai kaun musibat kahun to kis se kahun

jo tu ho saf to kuchh main bhi saf tujh se kahun

tere hai dil mein kudurat kahun to kis se kahun

na kohkan hai na majnun ki the mere hamdard

main apna dard-e-mohabbat kahun to kis se kahun

dil us ko aap diya aap hi pashiman hun

ki sach hai apni nadamat kahun to kis se kahun

kahun main jis se use howe sunte hi wahshat

phir apna qissa-e-wahshat kahun to kis se kahun

raha hai tu hi to gham-KHwar ai dil-e-gham-ghin

tere siwa gham-e-furqat kahun to kis se kahun

jo dost ho to kahun tujh se dosti ki baat

tujhe to mujh se adawat kahun to kis se kahun

na mujh ko kahne ki taqat kahun to kya ahwal

na us ko sunne ki fursat kahun to kis se kahun

kisi ko dekhta itna nahin haqiqat mein

'zafar' main apni haqiqat kahun to kis se kahun

(1720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhari Hai Dil Mein Jo Hasrat Kahun To Kis Se Kahun In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Bhari Hai Dil Mein Jo Hasrat Kahun To Kis Se Kahun is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Bhari Hai Dil Mein Jo Hasrat Kahun To Kis Se Kahun for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Bhari Hai Dil Mein Jo Hasrat Kahun To Kis Se Kahun in PDF.