Yan KHak Ka Bistar Hai Gale Mein Kafani Hai

yan KHak ka bistar hai gale mein kafani hai

wan hath mein aaina hai gul pairahani hai

hathon se hamein ishq ke din raat nahin chain

fariyaad o fughan din ko hai shab nara-zani hai

hushyar ho ghaflat se tu ghafil na ho ai dil

apni to nazar mein ye jagah be-watani hai

kuchh kah nahin sakta hun zaban se ki zara dekh

kya jae hai jis jae na kuchh dam-zadani hai

mizhgan pe mere laKHt-e-jigar hi nahin yaro

is tar se wo rishta aqiq-e-yamni hai

likh aur ghazal qafiye ko pher 'zafar' tu

ab taba ki dariya ki teri mauj-zani hai

(1047) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yan KHak Ka Bistar Hai Gale Mein Kafani Hai In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Yan KHak Ka Bistar Hai Gale Mein Kafani Hai is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Yan KHak Ka Bistar Hai Gale Mein Kafani Hai for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Yan KHak Ka Bistar Hai Gale Mein Kafani Hai in PDF.