Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Mere Qarar Hai

gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko mere qarar hai

karun us sitam ko main kya bayan mera gham se sina figar hai

ye reaya-e-hind tabah hui kahun kya jo in pe jafa hui

jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye bhi qabil-e-dar hai

ye kisi ne zulm bhi hai suna ki di phansi logon ko be-gunah

wahi kalma-goyon ki samt se abhi dil mein un ke buKHar hai

na tha shahr-e-dehli ye tha chaman kaho kis tarah ka tha yan aman

jo KHitab tha wo miTa diya faqat ab to ujDa dayar hai

yahi tang haal jo sab ka hai ye karishma qudrat-e-rab ka hai

jo bahaar thi so KHizan hui jo KHizan thi ab wo bahaar hai

shab-o-roz phul mein jo tule kaho KHar-e-gham ko wo kya sahe

mile tauq qaid mein jab unhen kaha gul ke badle ye haar hai

sabhi jada matam-e-saKHt hai kaho kaisi gardish-e-baKHt hai

na wo taj hai na wo taKHt hai na wo shah hai na dayar hai

jo suluk karte the aur se wahi ab hain kitne zalil se

wo hain tang charKH ke jaur se raha tan pe un ke na tar hai

na wabaal tan pe hai sar mera nahin jaan jaane ka Dar zara

kaTe gham hi, nikle jo dam mera mujhe apni zindagi bar hai

kya hai gham 'zafar' tujhe hashr ka jo KHuda ne chaha to barmala

hamein hai wasila rasul ka wo hamara hami-e-kar hai

(1431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Mere Qarar Hai In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Mere Qarar Hai is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Mere Qarar Hai for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Mere Qarar Hai in PDF.