Shamshir-e-barhana Mang Ghazab Baalon Ki Mahak Phir Waisi Hi

shamshir-e-barhana mang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi

juDe ki gundhawaT qahr-e-KHuda baalon ki mahak phir waisi hi

aankhen hain kaTora si wo sitam gardan hai surahi-dar ghazab

aur usi mein sharab-e-surKHi-e-pan rakhti hai jhalak phir waisi hi

har baat mein us ki garmi hai har naz mein us ke shoKHi hai

qamat hai qayamat chaal pari chalne mein phaDak phir waisi hi

gar rang bhabuka aatish hai aur bini shola-e-sarkash hai

to bijli si kaunde hai pari aariz ki chamak phir waisi hi

nau-KHez kuchen do ghuncha hain hai narm shikam ek KHirman-e-gul

barik kamar jo shaKH-e-gul rakhti hai lachak phir waisi hi

hai naf koi girdab-e-bala aur gol surin ranen hain safa

hai saq bilorin sham-e-ziya panw ki kafak phir waisi hi

mahram hai habab-e-ab-e-rawan suraj ki kiran hai us pe lipaT

jali ki kurti hai wo bala goTe ki dhanak phir waisi hi

wo gae to aafat lae hai har tal mein lewe jaan nikal

nach us ka uThae sau fitne ghungru ki jhanak phir waisi hi

har baat pe hum se wo jo 'zafar' karta hai lagawaT muddat se

aur us ki chahat rakhte hain hum aaj talak phir waisi hi

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shamshir-e-barhana Mang Ghazab Baalon Ki Mahak Phir Waisi Hi In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Shamshir-e-barhana Mang Ghazab Baalon Ki Mahak Phir Waisi Hi is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Shamshir-e-barhana Mang Ghazab Baalon Ki Mahak Phir Waisi Hi for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Shamshir-e-barhana Mang Ghazab Baalon Ki Mahak Phir Waisi Hi in PDF.