Shane Ki Har Zaban Se Sune Koi Laf-e-zulf

shane ki har zaban se sune koi laf-e-zulf

chire hai sina raat ko ye mu-shigaf-e-zulf

jis tarah se ki kabe pe hai poshish-e-siyah

is tarah is sanam ke hai ruKH par ghilaf-e-zulf

barham hai is qadar jo mere dil se zulf-e-yar

shamat-zada ne kya kiya aisa KHilaf-e-zulf

matlab na kufr o din se na dair o haram se kaam

karta hai dil tawaf-e-izar o tawaf-e-zulf

naf-e-ghazal-e-chin hai ki hai nafa-e-tatar

kyunkar kahun ki hai girah-e-zulf naf-e-zulf

aapas mein aaj dast-o-gareban hai roz o shab

ai mehr-wash zari ka nahin mu-e-baf-e-zulf

kahta hai koi jim koi lam zulf ko

kahta hun main 'zafar' ki musattah hai kaf-e-zulf

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shane Ki Har Zaban Se Sune Koi Laf-e-zulf In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Shane Ki Har Zaban Se Sune Koi Laf-e-zulf is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Shane Ki Har Zaban Se Sune Koi Laf-e-zulf for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Shane Ki Har Zaban Se Sune Koi Laf-e-zulf in PDF.