Ya Mujhe Afsar-e-shahana Banaya Hota

ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota

ya mera taj gadayana banaya hota

apna diwana banaya mujhe hota tu ne

kyun KHirad-mand banaya na banaya hota

KHaksari ke liye garche banaya tha mujhe

kash KHak-e-dar-e-jaanana banaya hota

nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko

umr ka tang na paimana banaya hota

dil-e-sad-chaak banaya to bala se lekin

zulf-e-mushkin ka tere shana banaya hota

sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe

qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota

tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe

to charagh-e-dar-e-mai-KHana banaya hota

shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne

warna bulbul ko bhi parwana banaya hota

roz mamura-e-duniya mein KHarabi hai 'zafar'

aisi basti ko to virana banaya hota

(2805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ya Mujhe Afsar-e-shahana Banaya Hota In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Ya Mujhe Afsar-e-shahana Banaya Hota is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Ya Mujhe Afsar-e-shahana Banaya Hota for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Ya Mujhe Afsar-e-shahana Banaya Hota in PDF.