Wo Sau Sau ATkhaTon Se Ghar Se Bahar Do Qadam Nikle

wo sau sau aTkhaTon se ghar se bahar do qadam nikle

bala se us ki gar us mein kisi muztar ka dam nikle

kahan aansu ke qatre KHun-e-dil se hain baham nikle

ye dil mein jama the muddat se kuchh paikan-e-gham nikle

mere mazmun-e-soz-e-dil se KHat sab jal gaya mera

qalam se harf jo nikle sharar hi yak-qalam nikle

nikal ai chaaragar tu shauq se lekin sar-e-paikan

udhar nikle jigar se tir udhar qalib se dam nikle

tasawwur se lab-e-lalin ke tere hum agar ro den

to jo laKHt-e-jigar aaankhon se nikle ek raqam nikle

nahin Darte agar hon lakh zindan yar zindan se

junun ab to misal-e-nala-e-zanjir hum nikle

jigar par dagh lab par dud-e-dil aur ashk daman mein

teri mahfil se hum manind-e-shama subh-dam nikle

agar hota zamana gesu-e-shab-rang ka tere

meri shab-diz sauda ka ziyaada-tar qadam nikle

kaji jin ki tabiat mein hai kab hoti wo sidhi hai

kaho shaKH-e-gul-e-taswir se kis tarah KHam nikle

shumar ek shab kiya hum ne jo apne dil ke daghon se

to anjum charKH-e-hashtum ke bahut se un se kam nikle

KHuda ke waste zahid uTha parda na kabe ka

kahin aisa na ho yan bhi wahi kafir-sanam nikle

tamanna hai ye dil mein jab talak hai dam mein dam apne

'zafar' munh se hamare nam us ka dam-ba-dam nikle

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Sau Sau ATkhaTon Se Ghar Se Bahar Do Qadam Nikle In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Wo Sau Sau ATkhaTon Se Ghar Se Bahar Do Qadam Nikle is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Wo Sau Sau ATkhaTon Se Ghar Se Bahar Do Qadam Nikle for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Wo Sau Sau ATkhaTon Se Ghar Se Bahar Do Qadam Nikle in PDF.