Jab Ki Pahlu Mein Hamare But-e-KHud-kaam Na Ho

jab ki pahlu mein hamare but-e-KHud-kaam na ho

girye se sham-o-sahar kyun ki hamein kaam na ho

le gaya dil ka jo aaram hamare ya rab

us dil-aram ko mutlaq kabhi aaram na ho

jis ko samjhe lab-e-pan-KHurda wo malida-misi

marduman dekhiyo phuli wo kahin sham na ho

aaj tashrif gulistan mein wo mai-kash laya

kaf-e-nargis pe dhara kyunki bhala jam na ho

kar mujhe qatl wahan ab ki na ho koi jahan

ta meri jaan tu kahin KHalq mein badnam na ho

dekh kar kholiyo tu kakul-e-pechan ki girah

ki mera tair-e-dil us ke tah-e-dam na ho

bin tere ai but-e-KHud-kaam ye dil ko hai KHatar

tere aashiq ka tamam aah kahin kaam na ho

aaj har ek jo yaro nazar aata hai niDhaal

apni abru ki wo khinche hue samsam na ho

hai mere shoKH ki baalida wo kafir aankhen

jis ke hum chashm zara nargis-e-baadam na ho

subh hoti hi nahin aur nahin kaTti raat

ruKH pe khole wo kahin zulf-e-siyah-fam na ho

ai 'zafar' charKH pe KHurshid jo yun kanpe hai

jalwa-gar aaj kahin yar lab-e-baam na ho

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Ki Pahlu Mein Hamare But-e-KHud-kaam Na Ho In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Jab Ki Pahlu Mein Hamare But-e-KHud-kaam Na Ho is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Jab Ki Pahlu Mein Hamare But-e-KHud-kaam Na Ho for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Jab Ki Pahlu Mein Hamare But-e-KHud-kaam Na Ho in PDF.