Jigar Ke TukDe Hue Jal Ke Dil Kabab Hua

jigar ke TukDe hue jal ke dil kabab hua

ye ishq jaan ko mere koi azab hua

kiya jo qatl mujhe tum ne KHub kaam kiya

ki main azab se chhuTa tumhein sawab hua

kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida

gharaz ki roz naya ek mujhe KHitab hua

piyun na rashk se KHun kyunki dam-ba-dam apna

ki sath ghair ke wo aaj ham-sharab hua

tumhaare lab ke lab-e-jam ne liye bose

lab apne kaTa kiya main na kaamyab hua

gali gali teri KHatir phira ba-chashm-e-pur-ab

laga ke tujh se dil apna bahut KHarab hua

teri gali mein bahae phire hai sail-e-sarishk

hamara kasa-e-sar kya hua habab hua

jawab-e-KHat ke na likhne se ye hua malum

ki aaj se hamein ai nama-bar jawab hua

mangai thi teri taswir dil ki taskin ko

mujhe to dekhte hi aur iztirab hua

sitam tumhaare bahut aur din hisab ka ek

mujhe hai soch ye hi kis tarah hisab hua

'zafar' badal ke radif aur tu ghazal wo suna

ki jis ka tujh se har ek sher intiKHab hua

(1522) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jigar Ke TukDe Hue Jal Ke Dil Kabab Hua In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Jigar Ke TukDe Hue Jal Ke Dil Kabab Hua is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Jigar Ke TukDe Hue Jal Ke Dil Kabab Hua for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Jigar Ke TukDe Hue Jal Ke Dil Kabab Hua in PDF.