Kyunkar Na KHaksar Rahen Ahl-e-kin Se Dur

kyunkar na KHaksar rahen ahl-e-kin se dur

dekho zamin falak se falak hai zamin se dur

parwana wasl-e-shama pe deta hai apni jaan

kyunkar rahe dil us ke ruKH-e-atishin se dur

mazmun-e-wasl-o-hijr jo name mein hai raqam

hai harf bhi kahin se mile aur kahin se dur

go tir-e-be-guman hai mere pas par abhi

jae nikal ke sina-e-charKH-e-barin se dur

wo kaun hai ki jate nahin aap jis ke pas

lekin hamesha bhagte ho tum hamin se dur

hairan hun ki us ke muqabil ho aaina

jo pur-ghurur khinchta hai mah-e-mubin se dur

yan tak adu ka pas hai un ko ki bazm mein

wo baiThte bhi hain to mere ham-nashin se dur

manzur ho jo did tujhe dil ki aankh se

pahunche teri nazar nigah-e-dur-bin se dur

duniya-e-dun ki de na mohabbat KHuda 'zafar'

insan ko phenk de hai ye iman o din se dur

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyunkar Na KHaksar Rahen Ahl-e-kin Se Dur In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Kyunkar Na KHaksar Rahen Ahl-e-kin Se Dur is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Kyunkar Na KHaksar Rahen Ahl-e-kin Se Dur for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Kyunkar Na KHaksar Rahen Ahl-e-kin Se Dur in PDF.